Beghair wudhu mayyit ku sawaab phonchaana

Q: Waalidain ko ghar se padh ke bakshne ke liye bawazu hona chahiye ya paak hona chahiye. Quran ko bawazu chu sakte hai?

A:

1. Sawaab phonchaane ke lia wudhu ki haalat me hona shart nahi he. Beghair wudhu bhi aap Qur'an Shareef par kar us ka sawaab apne waalidain ke lia bhej sakte he.

2. Wudhu ke beghair Qur'an Shareef ka parhna jaaiz he lekin choowna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)