Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhay aik khwab ki tabeer maloom karni hay jo meray husband nay dekha hay aur taqreeban rozana dekhtay hain, khwab ka time raat 130-230 kay darmyan hay, ummm khwab kuch yun hay kay 'wo dektay hain kay khwab main wo bilkul akhaly hain bohat ziyada andera hay, wo bohat ziyada darty hain aw chektay hain madadth kay liye(ye khwab wo hamesha dekhtay hain' kal raat unho nay aik aur cheez deke 'kay wo nimaz par rahy hotay hain aur bohat ziyada loog in kay peechay hanstay hain' please mujhay is khwab ke tabeer bataye meray husband bohat pareshan hain, wo regularly nimaz partay hain aur tahajuud beh, bohat ziyada bemar beh hotay hain aur har wakh pareshan rehtay hain.

A: Unku kehde ke wo paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala unku tamaam qism ki shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: