Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne ek khawab dekha jis main dekha main dekha k mera dada mery abu bhai ek jahaz main safar kar rahay hai aur main apnay dada k saath hansi mazak kar raha ho woh buhat hanstay hai aur achanak jahaz girnay lag jata hai likan dada phir bhi hansty rehtay hai yahan tak k jahaz bilkul zameen par girnay wala hota hai meri ankh khul jaati hai aur mery mon main ayatul kursi hoti hai yani main parh raha hota ho yeh khawab asar k bad dekha hai and mery dada ki death ho gai hai takreeban 3 month pehlay plz ap mery khawab ki tabeer batain ge

A: Paanch waqt ke namaz ke bad ye duaa parhle, Allah Ta'ala aap ki aur aap ke khandaan ki hifaazat farmaayenege

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِى الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِى دِينِى وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِى وَمَالِى

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: