Jis haalat me Allah Ta'ala hum ku rakhe, us haalat se hum khush rahe

Q: Me bohat pareshan hun muja Allah ne sub kuch dia sagey rishtay un ka payar acha khana pina rehna sahna har sahulat or jismani bhi tamam naimten or saht bhi jis ka muja bohat ehsas h or ma shukar bhi ada krti hun bs thori si kami h yani real beauti choti hight unfair rang or azaa waghera ka khubsoorat na hona jis ka ehsas or mukaml ya acha khubsoorat na hona ki khahish din raat meray dilo dimagh par havi rehti ha meri sirf yehi dunayavi khahish h muj alima hafiza tarjama tafseer karni ki bohat khaish h ma in sab kliye dua bhi karti hun khubsoorat na hona k ehsas bohat tang kart h ma ye samji k shyed ye azamish ho jis par sabr karn ka ajar milay par ap ne kaha k ye azmaish nhi h ma ye sochti k ye sab dunia ma na milnay ka to ajar milay ga na to is tarha shayed muja sabar ajye kia esa h ye b bta de.sir ma bohat koshish karti hun khud ko samjany ki k ye khatam honay wali chiz h Allah jo behtar hota h wohi kart phir ye bat ati h k Allah sab kuch kar sakta h wo muja khubsoorati denay ma bhi to behtari rkha sakta h esay sawalat zahan ma atay hn ma thak jati hun khud ko samjh k magr dil nahi manta thori dair samjhta h phir wohi zid or i try k is khaish ko dil se nikal dun but nhi kr pati ma bohat pareshan hun plz ap meri rahnumai karen mujha itmanan bukhsh jawab dijiye ga jis ma na umeedi na ho please.

A: Ye pareshaan hone ki koi baat nahi he. Jis haalat me bhi Allah Ta'ala hum ku rakhe, hum ku chahia ke hum us haalat se khush rahe. Aap un lowgo ku dekho jin ku Allah Ta'ala ne ye ni'mate nahi di jo aap ku di. Agar aap is tarah sowchengi phir aap shukr karengi owr khush hongi. Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne apne Hadith me farmaya ke Deen ke maamle me un lowgo ku dekho jo aap se behtar he taake tum un jaise lowgo ki tarah banne ki kowshish karenge owr maal dowlat owr zaahiri khoobsoorati me un lowgo ku dekho jo aap se neeche he taake aap shukr karenge owr Allah Ta'ala ki nimato ki na shukri nahi karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)