Musaafir ki namaaz

Q: Agar koi muttasil bayaanwe (92) kilometer safar kare owr aadhe raaste me thori dair kaam ke liye paanch minute ya ayk ghante ruke to qasar kare ga? Agar itnaa safar kare or aadhe raaste me ayk din rukay to bhi qasar kare? Or apne sheher ki hudood se nikal jaye magar safer bayaanwe kilometer na ho to kya qasar nahi kare?

A:

1. Jee ha

2. Jee ha

3. Shar'ee masaafat jis par safar ke ahkaam murattab hote he 78km he. Lihaaza agar koi kisi jaga ki taraf jaane ka qasd kare jo 78km ya us se ziyaada ki masaafat ho, to wo musaafir hoga owr agar us se kam ho, to wo musaafir nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)