Khalwat ke bad teen talaaq

Q: Kaafi arsa pehlay aik larkay ka nikah kisi choti umer ki larki say howa larkay ki umer 30 sal larki ki umer 12 ( baligh) sal, rokhsti na hoi k larki ki umer ziada ho gi to rokhsti kar dain gay, aur nikah ka b mohala daron ko ilam na tha, is doran larka larki ko ghar bolata raha aur aik kamray m un ki mulaqat hoti thi mulaqat k doran dono ki sharmgahain aik dosray say touch hoin aur dakhool say pehlay hi mada mani b kharaj howa, laikan dono is dar say k koi kamray m aa na jay saray kapray nai utaartay thay kamray m aanay k 2 raastay thay aik m darwaza lga tha aik m sirf parda tha koi b ba asani andar a sakta tha, larka samjta tha k wo larki say us waqat ba asani hambistry kar sakta hay jab ghar m koi na ho laikan aisa moqa nai mila, agar larki ki awaz paida ho jati to bohat beizti hoti q k hambistry ki ijazat na thi, mojooda soortay haal m larkay ka poora irada tha hambistry ka, k wo ahista ahista dakhool kar lay ta k awaz paida na ho laikan wo nai kar ska , q k dakhool say pehlay mada mani kharaj ho jata tha, baad m larki nay larkay ko majboor kiya k usay talaq day , talaq ho gai, talaq k alfaaz ye thay m tohain talaq daita hon, m tomhain talaq daita hon, m tomhain talaq daita hon, ab larki bari ho gai hay wo dobara nikah karna chahtay hain wo dobara nikah kar saktay hain ke nahi?

A: Agar kamrah aysa tha ke aam tor par andar aane se pehle ijaazat maangi jaati he to ayse kamrah me khalwat saheeh hogi. Chunaanche, teeno talaaq shumaar hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: