Reeh kaarij hone ka waswasa

Q:

1. Wudhu tootny ki ayk waja reeh ka khaarig hona he lekin mera ayk masla he ke thori thori gher mahsoosana si reeh guzarti mahsoos hoti wudhu ke doraan bhi namaaz ke doraan bhi or in ke ilaawa bhi me ye farq nahi kar paati ke reeh kharij hui he ya wasy hi guzri he uthte bethte bhi esa hota kabhi to dobara wudhu kar leti hun lekin phir esa hi hota he kabhi me nahi karti kyun ke muje yaqeen nahi hota ke reeh ya hawa jism se hi kharij huwi he jab yaqeen nahi hota reeh ya hawa ke khaarij honay ka me dobaara wudhu nahi karti or namaaz parh leti hun lekin pareshaan rehti hun ke pta nahi ye saheeh he ke nahi me bohat tention me hun. Baraaye meherbaani rehnumaai farmaye?

2. Me ne islaami behno ki namaaz madani channel waalo ki kitaab me parha he ke awrat ke agay ke maqaam se jo rutoobat be-aamezish khoon nikalti he wo paak hoti he mere ayk safed maadda niklta he muje ye nahi pata ke wo yahi he ya koi or maadda he mujhe raasta dikaaye? Mani me aur is me kese farq kar saktay he agar wazan uthaane se safed rutoobat nikle to kiya wo yahi rutoobat he jo paak he mani kiyun ke mani bhi wazan uthany se niklti he aur wo rutoobat bhi? Aur kabhi kabhi urethra ke paas tari se masoos hoti he geelapan nahi wo bhi yaqeeni tor par nahi to kiya esy namaz parh saktay he?

A:

1. Jab tak aap ku yaqeen ne ho ke reeh kaarij huwa to aap apna wudhu toota huwa ne samjhe.

2. Jo rutubat (discharge) awrato se nikalti he, wo napaak he owr wudhu us se tootjata he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)