Do sajdo ke darmiyaan du'aa parhna

Q: (Do Sajdon ke darmyan masnoon dua)

- Imam Abu Hanifa : "Do sajdon ke darmiyaan (Haalate jalsa) me khamosh rehna chahiye." (Al Jame Al Sagheer, page 88)

- Rasool (Sallal lahu Alahe Wasallam) do sajdon ke darmiyaan (Haalate jalsa) me 'rabbighfirli' parha karte the." (sunan abu dawood, hadees: 874)

1) Kya ye Hadith Huzoor Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) se saabit he?

2) Kya ye hawaala Imam Abu Hanifa ke baare me durust he?

3) Hum sab jalse ki haalat me 'rabbighfirli' nahi parhte. Kya hum sab ghalat he ya saheeh he?

4) Me Imam Abu Hanifa ki taqleed karta hu lekin ab me kis ki taqleed karu?

A: Do sajdo ke darmiyaan du`aa ka parhna saheeh hadeeth se thaabit he. Baaqi fardh namaaz me ikhtisaar matloob he isee wajah se Imaam Sahib (rahmatullahi alaih) imaamo ko kaha ke zaaid du`aa ne parho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)