"Tu azaad ho" kehne se talaaq

Q: Mera masla yeh ha ke main ne ghar walon ki marzi k bina ja k shadi ki jiss mein sirf ladke ka bhai or walida mojood thi or nikaah k liye 2 molvie sahab they or aik 2 camera men or ladkiyan jo k ladke k bhai k dpst thi. Lekin meri taraf say gawah sirf ladke k aik dost ka naam likha tha jab k woh dost wahan nikaah k waqto jood nahi tha. Ladke k ghar walon ne lalach mein yeh nikah karwa liya tha ta k ladka baher chala jaye lekin halat bohut khaarab hote gaye or ladke ne aik bar "main tujhe talaq deta hoon" or dposri bar message per likh kar kaha k tu meri taraf say ab azaad ha khuda ki qasm" keh kar 2 bar talaq day di ha. Mujhe maloom karna ha kya yeh nikaah valid tha tha Astaghfirullah sirf zinna mein shumaar hua? Or kya us hisaab say yeh talaq bhi ho gayi? Kya talaq aik bar dena kafi ha ya teen bar dena zaroori ha? Ab mere waldain chahte han k mera nikah dobara sab k samne proper tareeqe say kar den lekon ab ladkay k ghar wale us ko kehte han k sirf is he shart per k agar woh foran tumhain baher bula len tab lekin ladka ab razi nahi hota q k us k nazdeek yeh nikaah hua he nahi q k gawah mojood he nahi they mere liye koi. Main bohut pareshan hoon ajeeb depression sa ho gaya ha. Mera dill kisi or mard say shadi k liye bhi nahi manta or khandan bhar mein kisi ko nahi pata. Main janti hoon mujh say bohut bari ghalti hui ha lekin ab samejh mein he nahi aa raha k mujhe kya karna chahiye or is sab situation k kya hall ha? Pehle to mujhe woh ladka wese pasand tha lekin main ne sache dill say nikah kiya bina kisi lalach k or abhi tak mere dill mein us k liye shohar jesa he rutba ha halan k us ne her tarah say contact he khatam kar diya ha mujh say. Please Allah app ko jazaye khair day mujhe guide kijiye k yeh sab jo hua or ab mujhe kya karna chahiye? Yeh sab main apne ghar walon say share nahi kar sakti. Or Mufti sahban say poochne per bhi dar lagta ha q k woh thore sakht hote han aise maslon per ghussa kar jate han or raha saha hosla bhi khatam ho jata ha. App say bohut himmat kar k pooch rahi hoon. Baraye meherbani meri situation ko samjh k bataiye.

A: Nikaah to ho chuka tha aur agar usne talaaq ki niyyat se kaha 'tu azaad ho' to aap uske nikaah se nikal chuki. Ab unke saath rehna jaaiz nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: