Shirkat khatam karna

Q: 2007 me teen partners ne milkar ek it company start ki. Teeno partners monthly equally sharing karte the 2009 ke andar 1 partner dusri country ke andar shift ho gaya aur permenant vahi pe set ho gaya aur 2010 ke andar vo company me se retire ho gaya 2009 me jab vo gaya us waqt usko koi bhi profit ya share nahi diya tha fir vo vahi set ho gaya aur 2010 me partnaship chor di in me se 2 patners pehle sath me business karte the to unke pass kuch furniture aur Computers the jin ke andar 2 partner ka invesments abhi vo yaha aaya he to hum usko share dena chahte he to uska share aur profit 2009 tak ya 2010 tak count kiya jayega? hamare accountant ka mashwera ye he ke aap apni mutul understanding se vo partner ko ek amount de do kyu ki uska equipment ke andar invesment tha aur 2009 ke bad uska kuch bhi involment nahi he offically 2010 tak uski company ke sath partnaship rahi thi.

A: Agar 2010 me us ne shirkat khatam kardiya, to us waqt tak jitna nafa' huwa, wo apne poore hisse ke baraabar nafa' ka mustahiq hoga. Us ke ba'd shirkat me jo uska hissa he, dowsre do shareek uska hissa khareed sakte he owr us ke hisse ki qimat ada kare. Hisse ki qimat mutaayyan ki jaegi aapas ki baahami khushi se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)