Jaandaar cheezo ki tasweer kheenchna owr dekhna

Q:

1. Manay aap se poocha ke jin me be hayaai na ho esy darama dekh sktay he to ap ne farmaya jandar ki tasweer khenchna or dekhna gunah h lakin tv pa to islami progarams bhi lagtay hn jinnl ma baray ulma atay hn istarha un ki pictures or videos banti hn kia ye bhi gunah he? Ulma to har gunah se bachtay he wo ye kesy kar skty?

2. Aaj kal ghar walay jo aik dusray se door hotay he video call karty hn ak dusray ko apni picture bhejtay hn kia ye jaiz he?

3. Aagr picture ya video sirf mobile ma rahy dhulwayen na to bhi gunah he agar nahi to phir TV pa jo videos, pictures ati hn wo kesy gunah h.

4. Kia har tarah ki jandaron ki pics , sketches or jo cartoons hn or whatsapp waghera ma smiles or stikers cartoon jesy wo bhi gunaah he?

Sorry mera maqsad ap ko pareshan karna nahi h ma sirf apni islah k liye poochti hun plz meray sab sawalon ke jawab dijiye ga.

A:

1. Jee ha, ye bhi gunaah he. Hadith Shareef me koi istisnaa nahi aaya.

2. Ye bhi jaandaar cheez ki tasweer he lihaaza ye bhi na jaaiz he.

3. Ye sab najaaiz owr gunaah he.

4. Jee ha.

Is mawdu' par hamne ayk kitaab likhi he angrezi zabaan me. Us ku dekhne ke lia is link ku dekho http://ihyaauddeen.co.za/?p=3394

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)