Haidh ki aadat me tabdeeli

Q: Mujhe ap se haize k bary ma pochna h k kitnay din intizar kar sakty hn ghusal k liye pehlay to ma 5way din naha liya karti thi lakin ab 3, 4 mah se esa ho raha h k kabhi 5way din tak khatam honay k bad 6th day ko ak drop ya is bhi kam blood ata h or kabhi 6wa din gurney k bad 7way din ko bhi esa hi hota phir 8way din nahi hota isi tarha kabhi 7 din guzr jaty hn or kabhi 5 din tak hi rahty hn jis ki waja se mje roz rzo ghusal karna parta is dar se k namaz qaza na ho jaye h me bohat pareshn hun mje samj nahi ati k ma kitnay din wait kar k ghusl karun plz rahnumai farmaye?

A: Aap apni guzishta aadat par chale. Agar aakhri haidh me paanch rowz khoon nikle, to aainda haidh paanch rowz aap ki aadat hogi. Jab paanch rowz guzar jaae owr khoon band hojae, to ghusal karke namaaz parhna shuru' karde. Phir us ke ba'd jab bhi aap ka wudhu tootjae, to aap wudhu karke namaaz parhle. Aap ku har namaaz ke lia ghusal karne ki zuroorat nahi he. Lekin das rowz se pehle agar mazeed khoon nikal jae owr das rowz ke ba'd khoon ne nikle, to samjho ke aap ki aadat badal gai. Ye mazeed khoon jo dekha gaya, wo bhi haidh he. Jab ye khoon band hojae, to aap ghusal karke namaaz parhna shuru kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)