Waalidayn owr baro ke saath mahabbat, adab, aur tawaadhu ke saath pesh aana

Q: Main bohat pareshan hon apne ghar waalon se kyun ki gharpe walidain ke saat badhzuban istemaal hoti hai. Lekin meri walidain ko aur bhaiyon ko bora nahi lagta. Lekin main ek haq baat karta hon to main sab ki nazron mein bora banjaata hon. Aisa kyun? Aur mere chote bhai aur mere bade bhai log walid ya waalda se badhzuban se baat karte hai to hamare bade hasi mein baat ko woda dete hain. Aur main thuda ghusse mein baat karta hon to os baat pahad se bhi bada bana dete hain aisa kyun hora hai mere saath? Agar ghar pe koi ghalat horaha hota hai to main faoran moonh pe booldeta hon kya ye mera rookna ghalat hai kya mera ghusse jayaz nahi hai kya main ghalat hon bataiye main kya karon?

A: Aap doosro ki fikr ne kare. Iska ihtimaam kare ke aap apne bare aur waalidayn ke saath mahabbat, adab, aur tawaadhu ke saath pesh aaye. Doosro ki be wuqoofi se tumhe be wuqoof nahi banna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)