Shaadi shuda awrat ke saat talluq rakhna

Q: Jis larki se main nikah karna chahta uska nikah kisi owr se hogya. Ab wo dono me talaaq hone wali hai. Wo lrki mjhse nikah krna chahti hai aur main bhi. Phir kal rat us lrki ne khaab me dekha ke maine us larki ko call kiya. Phir awaaz uske pehle sauhar ki hai. To iska kya matlab hai?

A: Ayk na mahram larki ke saat contact karna owr baat karna haraam he. Khusoosan jab ke wo kisi owr ke nikaah me ho. Tumhaari baat cheet karna us ke saat us ke nikaah ke tootne ke baais banega. Lihaza tum apni is gunaah se tawbah kare owr pukhta azam kare ke aainda tum ye gunaah nahi karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)