Teen talaaq

Q: Mera masla ye hai ke aat saal paihele hum dono me kuch baat ho gai to maine apni biwi se kaha ki tum mujhe talaq de do unehono kaha ki aurat ke dene se nahie hota maine kaha ki tum hi do unhone kaha ki theek hai tum likeho mai sign karti hu to maine unki taraf se teen baar divorce likeha aur unhone sign kiya. Phir maine unke sautale bhai se ye kaha ki usne mujhe de diya aur maine usko de diya.uske baad hum log fir saath raihene lage aur teen bacche hue magar meri biwi ko usi time se shaq hai ki taalaq ho gai hai magar maine kaha ki maine tumaheri taraf se likha tha to taalaq kaise ho gaya. Janab agar taalaq ho gai hai to is masle ka hal kya hai hum alag nahie ho sakte meharbani karke jaaldi baataiye.

A: Talaaq ho gayi. Unke saath rehna aap keliye haraam he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: