Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke mere bhai ne 5-6 month pahle apni biwi ko teen talaaq de di thi phir uske dowst ne ek maulana se fatwa lakar diya ke teen talaaq ayk hoti hai aur woh log sohar biwi ki tarah rahne lage phir hamare ghar ek alim sahab aye aur unhone kaha ki 3 talaaq ka matlab talaaq ho gayi hai aur talaaq diye hue 5-6 month ho gaye hai to iddat ki muddat to khatm ho gayi jo ap logo ne mubashrat ki woh haram hai ab iski surat yeh hai ki halala hoga phir mere bhai ne apne dost se halala ke liye baat ki aur usko masla bataya magar yeh shart nahi lagayi ki mubashrat k baad woh talaaq de dega is tarah se nikah hua aur woh log din mein jakar hotel mein humbistari ki phir 1/2 ghante baad usne talaaq de di jab usse kaha gaya ki tumne apni marzi se talaaq di hai to usne kaha haan to kya halaala nikah ki sharait poori ho gayi?

A: Halaala hogaega lekin zuroori he awrat par ke dowsre nikaah se pehle wo apne pehle khaawind ki iddat poori kare. Jab uski iddat poori hojae to phir wo kisi owr ke saat nikaah kar sakti. Ja dowsre showhar ke saat nikaah owr halaala hojae (yani dowse khaawind us ke saat humbistari bhi kare) owr usku talaaq dede to us ke zimme par zuroori hoga ke dowsre khaawind ki iddat bhi poori kare. Jab uske dowsre khaawind ki iddat poori hojae to wo pehle khawind ke saat dowbara nikaah karsakti agar downo milna chahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: