Ghusse ki halat mein yeh kah de ki mai Islam ko nahi manta

Q: Mera sawaal yeh hai ke agar koi Muslim gusse ki halat mein yeh kah de ki mai islam ko nahi manta to kya woh islam se kharij ho gaya? Agar Islam se kharij ho gaya to phir use Islam mein dakhil hone ke liye kya karna hoga?

A: Is tarah kehne se wo Islam se khaarij ho jata he. Do bara Islam mei daakhil hone ke lie us ku chaahiye ke wo kalima Tayyiba parhe aur taubah aur istighfaar kare nadaamat ke saath aur pukhta azam kare ke aainada wo eisa sakht aur sangeen ghuna nahei karega. Issi tarah usku chaahiye ke wo bure lawg ke suhbat se bache aur bure akhbaar se bhi ihtiraaz kare, aur kasrat se kalima tayyiba parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: