Razaa'at

Q:

1. Kia kisi larki ke lia dada ke bhai ya phir dadi ke bhai se parda krna lazmi he?

2. Razaat ka rishta kis kis se banta hy?

3. Kia razaaee maa ko sadqa fitir ya zakaat dena jaez hy agr wo buht gareeb hy.

4. Agar namaz me tabiat kharaab hojae to kia atahiyaat ke foran bad salam pher skty hen durud aur dua prahe beger?

A:

1. Wo log aap ke mahram hei. Lihaza unke saath purda karna zaroori nahei hei.

2. Agar koi aurat kissie bacha ya bachi ku dood pilaawe razaa'at ki umar mei (do saal tak), to wo bacha aur bachi haraam hote hei razaai ma baap ke oopar aur unke usool aur furoo (razaai maa baap ke maa baap aur oopar tak, aur razaai maa baap ke  aulaad aur aulaad ke aulaad neiche tak). Aur issi tarah razaai maa baap ke bhai behne, aur chache phoopiya aur khaala maamoo bhi razaai bacha aur bachi par haraam honge.

3. Jee ha.

4. Jee ha.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

 Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: