Sajda-e-sahw

Q:

1. Agar namaaz me jamaai, cheenk waghaira ya gale me kuch lag jaye in baato me teen baar subhan Allah ka waqt guzar jaye to sajda-e-sahw karna ho ga?

2. Agar namaaz me tasbeehaat me kami beshi ho jaye to sajda-e-sahw karna ho ga?

3. Agar namaaz me tashhud ya surah fatihah ki koi ayk do aayat duhra li jaye to sajda-e-sahw karna ho ga?

4. Kya sajda-e-sahw me tasbeeh ayk baar kar li jaye aur tashhud ke bad chota durood parh ke salaam pher sakte he is tarah sajda-e-sahw ho jaye ga?

5. Agar namaaz me tasbeehaat taawwuz tasmiya waghaira me ya kisi aur harf ko saheeh ada karne me atak jaye aur doosri ya teesri martba kehne par saheeh ada ho to sajda-e-sahw karna ho ga?

A:

1) Nahi.

2) Nahi.

3) Agar ayk do aayat dohra li jaye, to sajda-e-sahw waajib nahi hoga.

4) Namaz durust hogi.

5) Nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)