Rooh ke baare me sawaalaat

Q: Mere zehn main teen questions hain.

1. Marne ke bad rooh ka dunya se koi rishta nai rehta?

2. Main ne suna hai ke rooh har jumirat (Thursday) ko apne ghar ati hain.

3. Mujhe kindly yeh bata dain ke jaise marne wale ko sb miss krte hain for example us k maan baap, dost behn bhai. Kia marne wala bhi apne pyaro ko miss karta hai?

A:

1. Rooh ka ta`alluq aalam-e-barzakh se hota he. Aalam-e-barzakh yahaa se alag he.

2. Ye aqeedah ghalat he.

3. Marne waale agar jannati ho to is qadar khush haal he ke in cheezo ki taraf unka khiyaal nahi jaata.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: 
Labels: