Bimaari ki wajah se gabraahat

Q: Main apse apne taklif share karna chahta hoon. Mujhe 2014 september 17 taklif hui thi jab main doctor ke pass pohcha ta us ne kaha tumhain h pylori hai main ne takriban 2 saal tak ilaj karwaya fir report negative ai mujh ab ye problem hai k mujh bahar aane jaane main ghabrahat hoti hai kahin bahar jata hoon to aisa lagta hai mai behosh ho jao kahin main mar na jao main bohat isy bat sey tang hogaya hoon mera masala kya hai please batai mufti sahab.

A: Allah Ta`ala aapko shifaa kaamila aajila naseeb farma. Mard ko himmat karna chaahiye. Aysee kamzor baato ki taraf dil lagana nahi chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)