Qurbaani ke jaanwar me kitne hisse hote he?

Q: Qurbani ke baray janwaron me toh 7 hessay keay jaty hn kuch log bachhray ya kamzor gaye ki qurbani k sirf 5 hessy krty hn. Kia aisa jaiz hy? Aur kon kon sy janwaron me 5 hessay kar sakty hn? Aur minimum kitni age honi zaroori he bachhray ki?

A:

1. Ye saheeh nahi he. Baaqi do hisso ku mutayyan karna chahia. Lekin ye paanch shurakaa ki qurbaani hojaegi.

2. Bare jaanwar jaise gaai, bhes, oont, un sab me saat hisse he. Kisi bare jaanwar me paanch hisse nahi he.

3. Do saal se kam waali gaai ki qurbaani jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)