Shaitaan owr nafs se bachne ke lia maut aur qabar ko sochna

Q: Mujhe aap se ye arz karna hai ke kaise gunahon se bacha jaey aur unki lazzat ka asar dimagh se nikala jaey aur kaise aamal pe khade hon aur takwa tavazo aur ikhlaas haasil ho aur shaytaan owr nafs ke hamlon aur shar aur behkavo se bacha jaey aur kaise apni maut ko yaad kiya jaey?

A: Sone se pehle das pandrah minute maut aur qabar ko soche, ke goya ke ye aapki akheeri din he aur dunya se nikal gaye, qabar me lete ho aur malaaikah eik eik cheez ke muta`alliq aapko pooch rahe he. Jo gunaah ki baate ho to uski wajah se saamp aur ajhdaha aap ke oopar musallat he, qabar ke dewaare aap ke oopar tang ho rahe he. Phir is tarah ke sochne ke ba`d aap apne jee ko yaqeen dilaaye ke qabar ka marhalah dharoori he koi us se choot nahi sakta. Lihaza mera hashar kya hoga. Sachche dil ke saath phir taubah karo aur Allah Ta`ala se hidaayat ki taufeeq talab kare. Fazaa'ile Sadaqaat ke mazaameen ka mutala`ah kare 15 - 20 minute. Allah Ta`ala taufeeq naseeb farma.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)