Qisto par bhechna

Q: Kya qiston (installments) par cheez bechna jaez hai? Dar aasal main aik mobile purchase kar ke installments par bechna chahta hun, to kya jo profit mjhe aye ga wo jaez hoga?

A: Jaaiz he, bashart ye ke jis cheez ku aap farokht kar rahe he us ka daam mutaayyan ho owr ta'keer karne ki surat me daam ne badle. Agar waqt par khareedaar ne qist ada nahi kya to aap daam nahi barha sakte. Agar barhadiya, to riba hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)