Qard ki adaayegi ke waqt qazdaar mazeed paisa dena

Q: Mera ayk hidou dost ha wo kbhe kbhe mugh sy kuch passy leta ha apny buisness ke ly or phr kuch munfa ke sath mughy wapis kar deta ha. Me ne kbhee koe shart nahi rakhee ke mughy etna munafa do. Wo apni marzi se munfa deta ha. Kya yeh munafaa sood he?

A: Agar aap ke yaha ye hindo aur doosre logo ki aadat he ke qard ki adaayegi ke waqt wo mazeed paise dete he, to us ka lena aap ke lie jaaiz nahei he. Aur agar aap ke yaha ye hindo aur doosre logo ki aadat nahei he, aur issi tarah un ke ne dene se aap ku apne dil me qissi qism ki garaani ne ho,  to is mazeed paise ka lena aap ke lie jaaiz he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)