Showhar ki maa showhar ku biwi ke saat taalluq rakhne se mana' karti he

Q: Mera sawaal ye hai ke mera nikaah hoa hai rukhsati nahi. Ab baat ye hai k islam main mujhe apni biwi se milne or bahar jane ki bhi ijazat hai or hum agar pyar karna chahe to wo bhi kar sakte hai. Ab meri maa mujhe mana karti hai milne se jab k larki k parents mana nahi karte or agar kbhi mera dil chahta hai to main chup k mil leta ho lakin apni maa ko nahi batata q k us ka bhi dil krta hai mujhse mile ab jub hame islam or qanoon ne ijazat di hai to hame q mana kia ja raha hai or han meri maa ne hame ekele dekh lia tha lakin hum kuch nahi kar rahe they ab wo khandan ki waja bana rahi hai ya kuch or baat hai ab main kia karo biwi k haqooq bhi hai or parents k bhi main bht parishan ho mujhe reference k saath jawab de de.

A: Aap apane maa baap ku samjhaade ke jab aap ka nikaah us ke saat hoga, to wo aap ke lia halaal hogai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)