Maal daar ka taal matowl karna

Q: Mere ek client ne meri payment roki hui he wo adda nai kar raha 2 saal se or mujhe bohat zaroorat he apne paison ki. Mene use furniture sale kiya tha, me usko islami hadees se usko ehsaas dilana chahta hun k wo ghalt kar raha he or wo paisey iske qabar tak saath nai jaye ge. Mujhe koi hadees bataye jo usko me bheju or uski samjh me aaye ke wo ghalt kar raha he.

A: Agar wo maal daar he owr aap ke paise ada karne par qaadir he, owr maal daar hone ke bawujood wo aap ka dain ada nahi kar raha he, to wo gunehgaar he. Hadith Shareef me aaya ke maal daar ka taal matowl karna zulm he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)