Qadha namaaz

Q: Mene aaj suna advocate Faeez Sayyed jo bhot mashoor mufti he ke:

1) Jo namaaz choot jaati he ghaflat, waqt nahi mila, sow gaye ya safar me the uski qaza hoti he bas?

2) Kisi ne ye kaha ke aaw namaaz parho to kehdiya aap chalo me parhloonga to kya wo namaaz faut hojati he aur uski qaza nahi hoti kyn ke wo faut hogai aap ne jaan booj ke chordi?

3) Namaaz chootgayi aur chordi ka farq jo mufti saheb ne bataaya he ye shariat aur hadith ke sath jawaab batade kya ye saheeh he?

4) Choot gayi aur chordi namaz ka masla har firqa maanta he ya ahle hadees ya hanfi sunni maslak me iktilaaf he? Me hanfi sunni maslak se hu.

A:

1. Jo bhi namaaz fout ho jaaye uski qadhaa karni chaahiye.

2. Uski qadha karleni chaahiye aur fout hone ki wajah se taubah karni chaahiye.

3. Agar qasdan namaaz ko chordiya to ye bohot hee bara gunaah he.

4. Aap iski fikr na kare. Jo bhi namaaz aapki choot gayi aap uski qadha karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)