Mazdoor ku waqt ke upar tankhwa ne dena

Q: Mera sawal a hai ke jo log mazdor ku bola ke un se mehnat kara kar mazdori dene ke liye pareshan karte hai un logon ke liye kya kehna cahiye ek mazdor ki mazdori 500 ke hisab se lekar jate hain magar paise dene ke liye bahut pareshan kar rahe hain kuch bhi bolo magar un logon ku thuda bhi haisas nahi hota ke o log mazdor ki mazdori na dene se un mazdoron ke ghar ke halat kaise guzren ge har bar agle hafte dunga agle mahine dunga yahi bath 2 saal se kehte arahe hai magar dene ka irada abhi tak nahi hai aur a ju log hain sare musalman hai ab aap hi bataye mai kya karon mai bahut pareshan hon aur qarz me dobba huwa hon kaam se kam muje e15 se 20 lakh rupye anna hai magar koi de nahi raha hai hamare aqaa rasool allah salalahu alaihi wa sallam ne farmaya hai mazdor ki ujjrat us ka pasina qasq bhone se pahle adda kardo aise logun ku aap kya kahenge?

A: Mazdoor ko waqt ke oopar tankhaw ne dena bohot hee buri baat he. Us se bohot ziyaadah be barkati phel jaati he ghareebo ki bad du`aa milte he. Allah is kaam se bohot ziyaadah na raadh hote he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)