Waham or waswasa

Q: Mein weham or weswasy ki mareez houn, meri zaban sa kuch alfaz bhi akhtary mein gult nikul jaty hain. Mein ne suna ha ke kufreya kulmat sa Imaamn or nikaah fased ho jata ha. Ager mujy khud kalaami ki aadat ha mein ya pochna chahti houn insaan kis tarah faisla kray ka kufreya fekra kon sa ha khas ker aik mery jasi wehmi aourt or kia ya bat sahi ha ka ourt ka kufrea fekray sa nikah fased nahi hota or frz kerain os ka mounh sa koi kufreya nikul jata ha or tejdedaiy nikah nahi kerti to kia ourut ko gunah ho ga?jasay mujy nufseaty musla ha mera allah per pukhta yaqeen ha lakin mujy akser wehum ho jata ha mein na asa keh dea wesa keh dea ab mera iman or nikah fased ho gaya ha mein tejdedy eman to bar bar kerty houn laken nikha ka kia kroun pleeèèeeez mery is muslay mein rehnmai krain mein bhutuk na jaioun allah app ko jazay khair day

A: Sabqate lisaani aur be-ikhtiyaari se agar kuch zabaan se nikal gaya to woh gunaah nahi. Albatta ihtiyaatan taubah kare. Aaindah ziyaadah ihtiyaat se kaam kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: 
Labels: