Shaadi se pehle kisi ajnabi se ta'alluq rakhna

Q: Mai yek ajeeb rishta se pareshaan hu. mujhe yek ladka se mohabbat hua. lekin woh ladka kisi aur se mohabbat karta hai. woh ladka jisko mohabbat karraha hai woh ladki ko kisi aur se nikah hogaya.Afsos ki baat , woh ladka dard se guzara.Phir unk gharwalon woh ladka ko goa bhejdiya, kyunki woh thoda dard ko bhuljaye. Astagfirullah woh ladka goa may yek angrez ladki se raat bitaya aur khudko azaab may daldiya. yeh baat usko nahi pata ki mai jaantihu. mai bhi kabhi nahi bola kisiko ..kyunki mai usay azaabse bachana chahti hu..phirbhi woh mujhe pasand nahi karta...mai usay mera pyaar izhaar kar diya..mai allah se bharosa rakh kar woh ladka ka intezhaar karti hu aur karoongi, inshallah. Ab mera Sawaal yeh hai ki ...kya mai jo bhi karrahi hu ....woh sahi hai ? Appko kya lagta ki woh ladka mera mohabbat samaj karlega?

A: Shaadi se pehle kisee ajnabi se ta`alluq rakhna baraa sakht gunah he. Taubah kare. Sharam hona chaahiye. Ye aysee be-sharmee ki harkat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)