Mani owr mazi

Q:

1) Me poochna chahti hu ke mazi ke sookhne ke baad uska nishaan rehjaata he agar mazi kapre par sookh jaaye to kaise pata chalega ke kahaan se kapra dhowna he?

2) Agar kapre peele rang ke pehne ho to mani ka kaise pata chalega kyunke auwrat ki mazi peeli si hoti he?

3) So kar uthne par mujhe discharge bhi mani ki tarah lagta he mere dimaag me hamesha har roz shak hi rehta hai.

4) Jhapki lene par agar koi ghalat khiyaal aajai to ghusal fardh hoga?

5) Mujhe bohat neend aati he us wajah neend ki jhapkiyan lagti rehti he to mujhe baar baar ye shak hota he ke kahin me soyi to nahi thi aur mujhe ihtilaam to nahi hua he. Is wajah se mujhe kai baar ghusal krna parta he.

A:

1. Jahaa par uska nishaanah laga huwa ho waha usko dholo.

2. Ye to mamooli see baat he. Jahaa par mani para ho to woh hissa zara itna hamwaar nahi hoga. Be hamwaari hogi. Jis tarah koi safed kapra thora thook para ho to ma`loom hojayega.

3. Jab tak yaqeen ne ho to is tarah ke shukook ki taraf dhiyaan ne do.

4. Ghalat khiyaal aane se to ghusal fardh nahi hota.

5. Is qisam ke faasid khiyaalaat aur shubuhaat ki taraf dhiyaan ne dena chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)