Shaadi me pareshaani

Q: Aapse guzaris hai ke mera ek masla hai aur iski wajah se main abhi bahot taklif main hu.Mufti sahab main 1 ladki se pyar karta tha. wo ladki hindu (cast-mochi) thi. hum 9 years se ek dusre ke sath the. jab muje laga ki iss ladki ke sath meri jindagi achhi tarah se basar hogi to maine usse shadi ke liye pucha aur usse bol diya ke agar shadi karni ho to tumhe islam kabul karna padega, Namaj, Roza, Quraan ki tilawat sab karna padega aur wo ladki razi ho gai islam kabool karne ke liye. Iske liye maine use 1 saal ka waqt diya tha acchi tarah sochne ke liye fir bhi usne Ha bola aur wo islaam qabool karke sab kuch karne ko taiyaar ho gai. fir maine apne ammi ko bola aur ammi ne mere mamu se baat ki. mere maamu us ladki ko milne aaye aur apne islam main aur ghar ke mahol se rubaru karvaya aur ladki ne sab baat ko qabool kiya. maine us ladki ka photo apne gharwalo ko dikhaya tha aur mere ammi aur abbu uske sath phone par baat bhi karte the. mere gharwalo ke kehne se maine usse court main shadi kar li kyuki koi jagada na ho aur agar ho to marriage certificate sab ko dikhane ke liye. fir maamu ke ghar ja kar nikkah padhna baki tha. jab nikkah ke liye jana tha uske 4 roj pehle wo ladki hamare ghar aayi aur mere abbu ne usse dekhi. dekh kar tabhi bol diya ke ye ladki ki body thik nahi hai. tu divorce le. aur kaha ki ye ladki hindu main mochi cast ki hai to iske sath nikkah nahi ho sakta. maine apne gharwalo ko bahot samjaya par wo Na mane aur hamare divorce karva diye. Muje bola gaya ke ye ladki islaam qabool nahi kar sakti aisa hamare nabi aap S.A.W ne farmaya hai. iski namaj bhi qabool nahi hogi. to kya ye bat sahi hai? hindu main mochi cast ki ladki agar Islaam qabool karne ko taiyar hai to wo chah kar bhi qabool nahi kar sakti? bas ladki ko dekh kar bol diya ke ye in future main baccha bhi paida nahi kar sakegi kyuki ladki thodi dubali patli thi. muje bataya gaya tha ki koi non-muslim islaam qabool kare to wo musalmaan ho jata hai fir wo kaun tha wo nahi dekha jata. ab mere gharwale meri mangani kahi aur karva ne ki baat kar rahe hai par mera dil gawara nahi karta hai. agar maine mangani ya shadi kari to bhi main sacche dil se us ladki ko nahi apna sakunga. main kya karu? muje kuch samaj nahi aa raha hai. mere gharwalo ne jo kiya wo sahi tha? wo ladki islaam qabool nahi kar sakti thi? muje talaak nahi lena tha fir bhi majburi main muje talak lena pada. aur ab majburan kisi aur ladki ke sath mangani karni pad rahi hai. aap se guzarish hai aap jald se jald muje jawab dijiyega.

A: Bunyaadi ghalati ye thi ke shaadi se pehle aapne ghalat ta`alluqaat karliya. Ab woh kya karsakte he. Aap apne waalidayn ki baat maane. Aur ye kehna ke uska Islam qubool nahi he ye saraa sar ghalat he ye be bunyaad baat he. Kisee ko is tarah kehne ka haq nahi hota.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)