Islam me jabar nahi hota hai

Q: Murtid k bare me ulama khte han k us ki saza katal ha...per ye baat to (maaz allah) jaber maloom hoti ha...jab k deen me jaber ki ijazat nhi....ek christain ne post dya ta ase to ager christain b ye pabandi laga de k jo esayiat chore ga to us k lye katal ki saza ha to batao pher koi esaai musalman kase ho ga? nez plz ye bata de k ye kanoon quran o hadees se kase sabit ha??? q k baaz ulama khte han murtid ki islam me saza nahi ..saza srf us soort me ha jab wo murtid fitna o fasad phelaye

A: Islam me daakhil hone keliye jabar nahi hota. Lekin jab Islam me daakhil hogaye he to phir uski paabandi karo. Jis tarah tumhaare makaan me daakhil hota ho to andar me daakhil hone ka ikhtiyar he lekin daakhil hone ke bad aapki koi cheez jaladeta he to kisee tareeqah se usko gawara nahi karega. Agar bedroom me pakhaana kare to aap baahar phenkdega. Usko baahar phenkne ko jabar nahi kehte.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: