Logo ka qaraz adaa karna

Q: Manay kuch logon ka pesa dena ho aur mamlat poranay hogae hon. Ab in logon ka thikana contact nahi meray pas. To kistrah ye qarza maaf hoga kisko don wo pesa k akhrat mai mujh par pakar na ho. Aur ye btain agar meray qaraz ada karnay say phelay logon ka haq ada karnay say phelay mai agar dunia say rukhsat hota hon to kya bad mai lawahkeen mai say kui wo qaraz ada kar sakta hai aur kesay ada hoga jab k kisi ko na pta ho k kisko denay hain.

A: Apne paas rakhe aur baraabar qardhkhaa ko talaash karte rahe. Agar aap uske milne se bilkul mayoos hojaaye to aap uski taraf se us payse ko sadqah karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)