Shaadi se pehle baate karna

Q: Mai ye janna chahata hu ke ye jo asraat baali baat hoti hai kya wo sahi hai. ek ajeeb waqiya mere sath kai saal se ho raha hai. jis ladki se meri shadi hone wali hai wo mujhse phone pe baat karti mai kyuke wo mere mama ki beti hai uske upar koi asar hota hai jab bhi wo kabhi raat m 12 baje call karti hai to uske upar jo aati h wo hi baat karti hai meri mama ki beti ko pata bhi nhi chalta ke usne mujhse baat ki hai aur na hi uske mobile m koi call details hoti aur ajeeb baat ye h ke bettery bhi down nhi hoti. phle to wo theek se se baat nhi karti baad m karne lagti hai aur jo bhi wo baat batati h mere future se relative wo sahi ho jaati h meri shadi insahallah jaldi hone wali h mujhe aap kuch raye de ke ye kya maamla hai last jab meri usse baat hui to maine usse pucha ke ager tum mere shadi ke baad bhi aa gayi to meri bibi ko koi problem to nhi hoga wo boli kuch nhi hoga. aisa kyu ho raha please mujhe bataye kyu ke mai sirf Allah se mangta hu sabkuch aur apni jindagi jydahtar deen pe gujarna chahta hu mujhe iski baato pe bleave nhi ho raha kya h ye maajra.

A: Shaadi se pehle sab tarah ke ta`alluqaat haraam aur najaaiz he. Usko khatam karna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)