Jhoot bolne ki kamaayi

Q: Aik shaks online kam karta hai jo free h then wo sochta h us work ke through logo se fees charge karega. Wo shaks online work jo ke free h totally jhot batake ke company itna charge karti hai munasib registration fees leta hai logon se is soch se ke we unko earning karne ka tariqa provide karaha to fees charge karega take uska faida ho 

1. Kia wo paise jo usne logon se lye hn apna faida n logo ki help karne ke samajke, uspe wo paise haram honge ya jaiz honge?

2. In case agar wo paise haram the uspe to ab wo shaks apni galti ka aetraf karke n Allah ke dar se wapis lotana chata hai tamam users ko wo paise but jis sim me un users ke contact no. the wo mobile snatch hogaya hai to ab no. nai asakte to ab wo shaks kia kare jise allah ki saza n qayamat ke roz logo ko paiso ka hisab se bachjae?

3. Wo shaks dunya me h paiso ka un paiso ka hisab ada karna chata h to Aesa kia kare jise wo paise maaf hojaen n Allah k saza se bachjae qayamat me n un logon ke huqooq se?

A: Agar usne apni mehnat ka mu`aawadhah liya to durust he. Albatta is tarah se jhoot bolna ye ghalat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)