Shaadi karne se aurat ki izzat barh jaati he

Q: Wazahat sy rahnumai farmaiay ga. Kia deen may esa hy k jb orat kisi ki bivi bn jati hy to oski izzat khatam ho jati hy oski hesiyyat londiyon sy b bdtar hoti hy? kia deen islam ye kehta hy k bivi sirf bistar l liay hy osy kutton ki trh bs roti daal do or dum hilati rahay sari zindagi auaral may? jb k gharelo maamlat khawand ki tankhowah jama kharch jorna banana ya lutana srf amman or shadi shudah behnon k ikhtiar may hy? Pakistan jesa susrali joint family systm jahan kai ghair mehram mard orat k sr pr mandh diay jatay hn kia jayaz hy?kia orat ka huq nhi hy k oska sathi mukhlis eemandar dukh sukh ka sanjhi ho.or sb sy aakhir may bivi bachon ka huq maar kr sahib e hesiyyat shadi shudah behnon pr is trh lutana k wo or on k bachay roz naye naye jootay kapray pehen sakain on k parlors k kharchay chal sakain jb k bivi cheetharon may ghom rhi hy or osko koi sukh muyassar nhi kia khawand ka ye rawayya huq bajanib hy k wo kuch paisa jor kr bivi k sr pr aik chhatt tk nhi deta or osay joint susral may aik tng sy kamray may olaad samait tarpa raha hy. Plz mjy ye bata dain k nandon saas or suaral ki makjariyon or chalon k baray may islam ya sunnat kia kehti hy?ya itna nazuk pehlu tishna chhor dia gia hy.saas or shadi shudah nandon ki miyan bivi k beech kis hd tk dakhal andazi honi chahiay?

A: Shaadi karne se aurat ki izzat to barh jaati he. Lekin jaha par be-izzati ho to Islam ki wajah se nahi balke ghalat kaafiraana riwaajo aur rusoom ki wajah se. Jis qadar Islaami ta`leemaat se doori aur be-ta`alluqi hogi isee qadar zindagi be-lutfi hogi aur izzat paamaal hojaayegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: