OCD

Q:

1. Mujhe lagbhag chaar saal se OCD ki problem hai. Shuruwaat mein toh mai toh bilkul pagal jaise hogyi thi lekin Allhamdulillah abhi theek hun . Mujhe bohat waswase aaten hai lekin jaise jaise ilm haasil hua toh ye waswase kam ho gye. Lekin meri sabse badi problem ye hai ke jo deen ko lekar aur Allah ko lekar jo khyaalaat aatein the wo abb bhi aatein hain . Agar main inke baare zyaada sochti hun toh ye aur zyaada badd jatein hain aur jab ignore karti hun toh lagta ke mujhe inki parwaah nhi hai aur ye sab main jaanboojh kar soch rahi hun. Pehle ye sab soch kar mai bohat roti thi lekin jab se ye pata chala hai ke ye sab shaitaan ke wajah se hain tab se mai nhi roti lekin bohat bura lagta hai aur tarhat mein doubt rahta hai?

2. Kya Islam mein dimaagi beemariyon ko beemari ke tor par dekha jaata hai. Kya ocd ki wajah se aane waale gande khayaalon ki saza hogi jabki wo sab hum zabaan par laana toh dooor hum dil mein bhi uske baare mein nahi sochna chahte kyun ye khayaal bohat bure , gande aur bohat hi zayaada galat hain aur ye sab bohat badi hastiyon ke baare mein hai? Kya Allah paak mujhe iske liye saza denge mai paancho waqt ki namaz bhi padti hun aur Qiraan bhi roz padti hun.

A: 1-2. In khiyaalaat ki taraf tawajjuh ne de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: