Khwaab

Q: Ma khwab ma daikha ha k mere ab meri ami g ki koi galat harkat daikhi ha aur wo unhy qatal kr daity ha ar jub ma pooochti hn k abu ammi jan kaha ha to mujhy kehty ha k unho ny mere sath dhoqa kia tha to ma ny un ka kam hi tmam kr dia mar dia ha ma usy phaink dia ha. is khwab ki wja sy ma bht pareshan hn khda k liye mujhy is khwab ki tabeer jald az jald bhaij den

A: Panch waqt ki namaz par paabandi kare apne saheeh waqt par aur na mahram mardo aur aurato ke darmiyaan purda ka ihtimaam kya jaaye. Rozana ghar me Fazaail aamaal aur Fazaail sadaqaat ki taleem kare ghar waalo ke saath, aur kuch waqt nikaalde Quran shareef parhne ke lie, Allah Ta'ala dilo me muhabbat paida farmaayenge aur naa ittifaaqi aur pareshaaniyo ko door farmaayenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: