Khwaab

Q: Me apni khwb ki tabeer janna chahta hon... Mjhe khwb ai hai k Aik larki jis ny hijab kiya hota hai us k pechy bht sy log lagy hty hyn. koi uski jan k dushman hoty hyn or koi uski izzat k.. khwb mei Me ny us larki ki madad ki.. usko logo sy bachaya. us k pas koi notes hoty hyn jo ksi jagah pohnchany hoty hyn Me un notes ko ly kr chalta hn. raasty mei mere pechy b bht sy log lag jaaty hyn. me bhagta rehta hon or mjhe koi b nuqsan nhi pohncha pata. yani mukhtasir bt yeh. k us larki ki mene jan b bachai or izzat bhi.

A: Kabhi insaan ki niyyat achchi hoti he, lekin mushtabah kaamo ke andar phasne ki wajah se apne upar nuqsaan aata he. Is wajah se aadmi ku chahia ke neak suhbat me rahe owr mushtabah kaamo se parhez kare (jaise internet, cellphone, tv, buri suhbat, purda ne karna na mahram awrato ke saat, waghairah).

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: