Waalid ghar waale ko pareshaan karte he

Q: Muje apny Abu k bare mn baat krni hai, wo bht ek to shak bht krty hain, dosra in k dil me paisy ki hawas bht hai, Allah ka shukr h k hum achy hain, wo retired ho chuky hain, hum 4 sisters hain r ek bhai, na bhai k sath behavior acha h, usko kehty k tm mere bety e nae ho, abi bhai chota h, 2nd year k paper die, usko kehty agy prhna h tw khud kama k parho, bht sakht dil r paisy k hawas h, please esa kuch btaen k wo humare sath thek hojaen, jo kar re eas na kare, meri umer b 26 sal hogae h shadi ka kuch krty nae, ek rishta aea hua h us me b jany ki der krre, on logun ny han kr d ha, meri help kijie hum ghr waly bht pareshan hain, wo humare bap hain is waja se hum in se misbehave nae krty, bs khamosh rehty hain, jo kehty man lety hain, please help karen meri, Allah bht raheem h, shayd Allah ny apko humara sabab bnaea h.

A: Makaan me rozana taleem karo aur Qur'aan Shareef ki tilaawat karo Fajr namaaz ke bad aur Asr aur Maghrib namaaz ke darmiyaan. Allah Ta`ala uske dil ko saheeh karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)