Khwaab

Q: Mujhe apne khwab ki taabeer poochhni hai. Main India ki ek reputed Govt. firm (SAIL) mein Sr. Manager (HR) hoon. 2015 mein main umrah karne gaya aur tab se meri lagan ho gayi ki main makkah ya kadina sharif mein hi bas jaaoon. vahan migrate karne ke liye main koshish mein bhi laga hoon jaise maine apna MBA HR complete kiya. ab main arabic ki classes le raha hoon aur international certification ki bhi koshish kar raha hoo. mujhe sab taraf se yeh maloom ho raha hai ki wahaan haalaat achche nahin hain magar mere dil mein kahin yeh baat baith gayi hai ki mujhe wahan jaana hai. Aaj subah maine khwab dekha (jab aankh khuli to 5.50 am the jabki fajr ki namaz ka waqt 5.15 am hai) ki main, meri biwi aur ek bachcha saudi mein kisi group mein hain tabhi maloom hota hai ki hum sab jail mein hain aur poore group ko shoot karne jaa rahe hain. main chhupne ya bachne ki koshish karta hoon to mujhe warn kiya jaata hai aur finally ek lady mujhpar shoot karti hai. mere pet mein goli lagti hai. ab bachne ki koi soorat na dekhkar mujhe koi aurat kuchh saaman deti hai ki main use jail se baahar nikaal doon. woh saamaan lekar main, meri biwi aur uski god mein bachcha jail se baahar nikal jaate hain aur hamein koi nahin rokta hai. baahar jaakar hamein do indians milte hain (ghair muslim) jo hamaari madad karte hain. baahar nikalkar hamaari koshish india wapas jaane ki hoti hai magar tabhi khwab khatm ho jaata hai. main subah se hi pareshaan hoo. meri aaj ki fajr ki namaz bhi qaza ho gayi. baraahe karam aap mere is khwab ki taabeer mujhe bata dein.

A: Ye zamaane ke fithno ki taraf ishaarah he. Allah Ta'ala sab ki hifaazat farmai. Fithne ke waqt aadmi ku chahia ke wo fithne ki jago se door rahe owr apne Deen ki hifaazat ke lia fikar kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: