Zakaat ka hisaab

Q:

1. Meray pas 1 tola sona or 15000 ko to 2 saal ho chuka jis pa zakat wajib h lakin in 2 saalo ma se aik pichaly saal se is mahinay tak muja eid or pocket money milti rahi h jo ma jama karti rahi hun jo taqriben ab 35000 ho gaye hn or isi saal ma aik gold ki ring bhi li h jo 10000 ki h in ko to abhi aik saal nahi hua lakin aik saal se jama kar rahi hun kia in par bhi zakat h agar h to kesy hisab lagaya jaye muja samj nahi arahi?

2. Or jab inko saal ho ga or in ka saal mukam honay tak jo or pasay jama ho ga to in ka kesay hisab lagay jaya ga zakat ka liye?

3. Or muja islami mahina to yad nahi to kia angraizi mah k hisab se zakat da dun kia ada ho jaye gi.

A:

1. Jee.

2. Kisee soni se uski qeemat lagaa diya jaaye aur qeemat lagaa karke chaaleeswah hissa zakaat me do. Mathalan soni ne kaha kul qeemaat 40000 he to 1000 zakaat me dede.

3. Nahi. Qamari aur islami mahine ka hisaab lagana dharoori he. Ye to nahi ho sakta ke aapko maloom ne ho. Dekhle mathalan eik saal ka pehle Ramadhaan agle saal ka pehla Ramadhaan tak. Ye eik saal huwa. Aur usee muddat guzarne ke saath zakaat adaa karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)