Deen ke oopar madhbooti se jame rehna

Q: Meri zindge ghaltiyo sy bhari hui hy or ghaltiya b aisi jo jan bojh k nai karti bus ho jate hy theek tareeqy sy mera koi b kam ho raha ho main aisi ghalti kar deti hu k sub khatam khud mera nuqsan hota hy lakin mujh sy jury har rishty ko b takleef hoti hy .meri shadi ko 4 sal huwy 2 sal sy maiky main the seprat rehti hu meri sas mery shohar sy larti rehti hain un ko kehti hain tumhri bv milte nai hmain shakal b nai dikhati.or such bat ye hy k kuch sas k ghusy sy dar lagta hy or kuch sharmindagi hy apni ghaltiyo py himat nai hoti unka samna krny ke aulad ke naimat sy b mehroom hu deen sy b kafi dur hu jutna qareeb hona chahti hu utni dur ho jati hu meri islah farmaiye.

A: Aap apne deen ke oopar madhbooti se jame rahe zarra baraabar kamzori ne dikhaao. Pehle zamaane me bare auliyaa par bhi is qisam ki aazmayish aye woh jame rahe yahaa tak ke Aasiya jo Firoun ki ghar waali thi unke oopar itne sakht aazmayish aayi ke jaan bhi dedi. Phir Allah uski tareef aur madah farmayi aur aakhirat me woh Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke sath hogi. Kis qadar bari fakhar ki baat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ki ma`iyyat aur saath hona.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)