Ghusal ke bad nakoon ke neeche khoon jama huwa dekhna

Q: Agar ghusal karne se pehle nakoon me se khoon nikle aur khoon saaf karna bhool gaye aur wo khoon thora sa baha tha aur phir ghusal ke liye chale gaye me ghusal lene se pehle shampoo aur saboon se pehle saaf karti hoon to mujhe yaad nahi ke me ne apne qadmo ke nakoon par saboon istimaal kya hai ya nahi aur ghusal karne ke baad mujhe yaad aaya ke mera ayk nakhoon se khoon behraha tha. Phir jab me ne jaanch ki nakoon ke oopar koi khoon nahi tha lekin nakoon ke neeche khoon jama huwa tha aur phir jaanch ki mujhe samajh me nahi aaraha he ke nakhoon ke baahar bhi kuch hai ya nahi jisse ghusal ka paani nahi pohocha ho kya mujhe ghusal duhraana chaahiye? Me har baar phen taalees minute ghusal lerarahi hoon aur maine jo namaaz parhi kya usko duhraana chaahiye?

A: Agar poore badan par paani aayaa, to aap ka ghusal poora huwa.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)