Namaz, Zikr, Quran paak parhna, baara bajhte hi chowrna

Q: Mene kuch logon ko ye kerte huwe dekha he ke jub theek 12 bajte he tou woh namaaz, zikr, Quran paak parhna chordete hain halake zawal ka waqt to badalta rehta he or wo saheeh karte he kya? Aur kya din ke baara baje or raat ke baara baje to zikr, tasbeeh, namaaz, Quraan paak parhna chorde kya? Aur makruh waqt main Qur'an paak, zikr, tasbeeh to parh sakte he zabaan se ya dil me ya dekh kar zaban se ya dil se? Aur agar koi makrooh waqt me namaaz parhe ya Quran paak ka sajda qubool hoga?

bismillah.jpg

A: Qur'an paak ki tilaawat owr zikr har waqt me kar sakte he, kwa zawaal ke waqt me ya makrooh waqt me ho. Lekin nafil namaaz makrooh awqaat me na parhe. Zawaal ke waqt owr sooraj ke tuloo' owr guroob ke waqt koi bhi namaaz parhna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)