Hajj-e-badal

Q: Meri Ami Hajj ki mali istitaat rakhti hain . Lieken unko Sans ki takleef or Joints ki takleef hai woh Washroom tak or rooz mara keh kaam muskil sy krtien hain unki age 57 year hai. Pochna tha keh un paar hajj farz hai mgr woh Apni bemari ki wjha sy Hajj nae kr saktien. Hajj to farz hai mgr is bare me kia hukam hai jo shaks istitat rakhta ho mgr bemari ki wjha sy hajj na kare saky?

A: Agar issi haalat me hajj karne ke lia paise milgaye, to hajj us par fardh nahi he. Lekin agar tandrusti ki haalat me usku paise milgaye, lekin us ne hajj ke lia nahi gayi owr takheer ki, to us se chahia ke kisi aadmi ko (jis ne fard hajj karchuke) paise de kar apne taraf se hajj e badal karne ka hukam kare. Wo aadmi us ke liye niyyat karke us ka hajj e badal kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)