Shohar ka ihtiraam karne ka ajar

Q: Mera sawal mian biwi sy mutalaq hai eik biwi jo apny shohar ko izzat pyar sab jo Allah ny hukum dia karti hai achy bury time ma us ka har trh sy sath dyti bachon ki parwarish deen dunia dono sikha kar karti is per ky us ka shohar anparh hai per ussy kabhi is ka ahsas tak nahi hony dia us ki marzi ky kuilaf koi qadam nahi uthaya aesi aurat ky bary islam kiya khta? Shohar ny hamesha biwi bachon ko bojh samjha betion ko bojh kaha bachon ko baap ki trh ka pyar nahi dia bachon ko aj tak shikayat ky baap ny kabhi apna nahi samjha bachon ny kabhi baap sy koi farmaish nahi ki kabhi jawab nahi dia jis haal rkha khushi khushi rhy sabr ky sath aj ky dour ma jahan aoulad ky samny baap nahi bol sakta phir us baap ny eik dosri aurat aur pasy ky liye apni biwi ko talaq dydi bachon ko bola mery sath chlna chlo warna mujhy kabhi contact nahi karna bachon ny maa ky sath rhna pasand kia maa ny betion ki shadi ki beton ko parhaya mehnat ki apni aoulad ky liye aesi biwi aur bachon ky liye kia hukum hai islam ma kia yeh maa gunhagar hogi aur kia mard hi shadi kar sakta aurat ky liye ijazat nahi q ky woh bachon ki maa hai kia mard bachon ka baap nahi hota 70 saal ki umer ma bhi shadi karsakta aur aurat ky liye mumkin nahi q?

A: Agar Khuda Ta`ala ki baat maanti aur khaawind ka ihtiraam karti thi to uska bohot bara ajar he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)