Baap ka haqq poora karna jab wo ta'alluq nahi rakhte

Q: Mjhe talaq ho gai hai aur mera aik bacha hai. Us ke father ne dosri shdi kr li aur us ka bacha bi hai jb ke jo mjh se bacha us ko wo na dekhta na kharch deta wo us se la ta'alluq hai jese us ka bacha hi na ho. Kya wo bacha bare ho ke apne baap ka haqq rakhta hai ya nahi?

A: Woh apna baap ka haq poora kare. Bachcha baap ka haq poora karega to bara sa`adat mand aur khush naseeb hoga. Baap agar uska haq nahi ada karta to woh bad bakht he. Baap ki bad bakhti ki wajah se apne aapko mahroom kyu karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)